Al-hamdo-lillah Rabbil-‘aalameen! Allah ka laakh laakh shukar hay keh hamaari na’i kitaab Kutub-e-Taareekh ki Haqeeqat shaa’e’ ho chuki hay.
Mauzoo’aat: Islam, Taareekh-e-Islaam
‘unwanaat: Haqeeqat, Kutub Taareekh
Title and Composing: Zafar Malik
Published by: Kashmeer Book Depot
Kutub-e-Taareekh ki Haqeeqat ab PDF format mein upload ho chuki hay.
Iss kitaab ko download kar kay khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib say bhi share kijiay.
Shukriyah.
Kutub-e-Taareekh ki Haqeeqat (silsilah number 26) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:
taareekh Islaam (hissa awwal) kutub taareekh ki haqeeqat, faasiq (shareer) khabar laa’ay to tehqeeq karo, Quraani ta’leemaat, huzoor s.a.w kay Sahaabah (rz) karaam aur Ahl-e-Bait (rz) ‘azzaam ko Allah nay emaan ki muhabbat di aur kufur o fisq aur ‘isiyaan say nafrat di. (Quraan ki shahaadat), huzoor s.a.w kay Sahaabah (rz) karaam o Ahl-e-Bait (rz) ‘azzaam, mominon kay do giroh larr parren to islaah kar do, Quraan kay hukum kay mutaabiq Sahaabah (rz) karaam o Ahl-e-Bait (rz) ‘azzaam nay ‘amal kiya, imaam Hassan (rz) aur imaam Hussain (rz) Ahl-e-Sunnat ki aankhon ki thandak hain, hazrat imaam Hassan (rz) ki fazeelat, musalmaanon kay do girohon mein sulah, Ahl-us-Sunnat ki ta’reef hazrat Ali (rz) ki zubaan mubaarak say, tehattar (73) firqon ki paisheen go’i, ahaadees Shi’a ki bana par bhi Jamaa’at (rz) Rasool s.a.w ma’yaar haqq hay, mu’arrakheen ka kirdaar, fazeelat ka ma’yaar taqwa hay, kehh do keh ham emaan rakhtay hain Allah par aur jo hamaaray paas bheja giya, agar woh bhi uss tareeq say emaan lay aawain jaisay Sahaabah (rz) emaan laa’ay, pooray momineen ki siffaat, jiss tareeq say tum Sahaabah (rz) emaan laa’ay, faa’edah, muhaajireen aur ansaar Sahaabah (rz) ki ittebaa’ ka hukum, muhaajireen Sahaabah (rz) sachay hain, Sahaabah (rz) kay ma’yaar haqq honay par Quraani aayaat, Sahaabah (rz) ma’yaar haqq hain, jo Sahaabah (rz) kay raasta kay khilaaf chalay gaa, dozakh mein jaa’ay gaa, muhaajireen aur ansaar ki fazeelat Quraan mein, Ahl-e-Sunnat kehlaanay ki zaroorat, Ahl-us-Sunnat wal-Jamaa’at ki ‘alaamaat, ahaadees: ifteraaq-e-ummat mein nijaat yaafta, Jamaa’at-e-Rasool (s.a.w) ki shaan, Sarwar-e-Kaa’enaat s.a.w ka Irshaad: Ahl-us-Sunnat o al-Jamaa’at haqq par hain, Ahl-us-Sunnat wal-Jamaa’at ki istelaah ka saboot, kutub tawaareekh, ashraar mu’arrakh say akhiyaar tak taareekh kay do rukh, aafat-e Azeemah, taareekh ka paayah, taareekh ki aarr, kutub seerat ka darjah, kutub seerat o taareekh ki haisiyyat, mu’arrakh Waaqdi, ghaur farmaa’iay, taareekh kay muta’allaq imaam Ibn Taimiyah (rh) ka faisla, Seerat-un-Nabii s.a.w mu’alifah Muhammad bin Is-haaq, Ibn Sa’ad aur tabaqaat Ibn Sa’ad, mu’arrakh ‘allaamah Ibn Jareer Tibri aur taareekh Tibri, taareekh Tibri ka maqaam, ‘allaamah Tibri mein fil-jumlah tashee’ tha, kutub hadees ka maqaam, Sahaabah (rz) o Ahl-e-Bait (rz) ki madah o zamm, Sahaabah Karaam (rz) aur Banu Umayyah kay khilaaf toofaan-e bad-tameezi, imaam Ibn Al-Arabi1 ka Irshaad, Sahaabah (rz) karaam kay khilaaf mu’arrakheen ki rawaayaat, ‘ajeeb o ghareeb insaaf par mabni nuktah, aik giroh, taareekh Islaam yaa khabron ka dhair, doosraa giroh, musadiqah taareekh nahi maadah-e taareekh, bani Abbass kay daur-e hukoomat mein taareekh naweesi ka aaghaaz, mu’arrakh Maudoodi ka niraala usool, saheeh usool, Sahaabah (rz) karaam ka maqaam aur mu’arrakheen ki riwaayatain, hamaari kutub tawaareekh, muarrakh Islaam ‘allaamah Ibn Kaseer ka nuqtah nazar mu’arrakheen ki rawaayaat kay baaray mein, waqt ki ehm aur ashad zaroorat, irshaad-e Nabawi s.a.w, waghairah.