Kitaab Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Awwal taa Som) Download Karein

Kitaab Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Awwal taa Som) Download Karein

Al-hamdo-lillah Rabbil-‘aalameen! Allah ka laakh laakh shukar hay keh hamaari na’i kitaab Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Awwal taa Som) shaa’e’ ho chuki hay.

Cover front image for Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Awwal taa Som)
Cover back image for Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Awwal taa Som)

Mauzoo’aat: Deeniyaat, Islam

‘unwanaat: Aalam Barzakh, Ehwaal Qiyaamat, Haqeeqat, Maut, Maut kay Ba’d, Nafss, Qabar ki Hayaat, Rooh

Title and Composing: Zafar Malik
Published by: Kashmeer Book Depot

Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Awwal taa Som) ab PDF format mein upload ho chuki hay.
Iss kitaab ko download kar kay khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib say bhi share kijiay.
Shukriyah.

Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Awwal) (silsilah number 23) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:

rooh kiya hay?, aalam barzakh, maut aur qabar ki hayaat (hissa awwal), faa’edah, nafss aur rooh ki haqeeqat, rooh kay muta’allaq Quraani nazriyah, makhlooqaat ki do qismain, tafseer, aalam arwaah, arwaah ko inn ki sooraton mein rakha, aalam arwaah mein anbiyaa’ say meesaaq, amrr Rabbi kiya hay?, insaan aur rooh, bashar aur rooh, ahl emaan ki rooh Allah ki taraf jaati hay, aulaad-e aadam ko aalam arwaah mein Khattaab, jism aur rooh, inn teenon jahaanon mein rooh kay ta’alluq ki nau’iyyat, insaan aur nafss, nafss anbiyaa’ ‘alaihim as-salaam, nafss waahid, nafss ammaarah, nafss lawwaamah, nafss mutma’innah, rooh ki haqeeqat, rooh aur nafss ki haqeeqat, nafss insaani, jism Lateef (nafss), rooh insaani, rooh mujarrad, momin ki rooh asli watan ki taraf, paakiza nafss aur naa-muraad nafss, nafss ki hifazat, nafss ki Rabb kay darbaar mein paishi, emaan laaya, nafss ka muhaasibah ho gaa, shuhadaa’ kay nafss, nafss ko re’aayat, rooh ki shakal, rooh Allah kay lashkaron mein say aik lashkar hay, aalam arwaah mein roohon ki mulaaqaat, aalam arwaah mein roohon kay lashkar hain, rooh aur nafss mein kiya farq hay?, neend kay dauraan arwaah ka jaana , arwaah ka neend mein waapis aana, maut kay ba’d momin ki rooh ka basairaa, arwaah kay fanaa na honay ki wajah, insaani roohon ka maqaam kahaan hay?, shuhadaa’ ki roohain barzakh ki zameen mein, fee sabeelillah ka Ma’na fee taa’at Allah, shuhadaa’ ki roohain jannat kay baaghon mein, arwaah Abraar kahaan rehti hain?, shaheedon ki roohain, illiyeen ki kaifiyyat, arwaah momineen ki barzakh mein kaifiyyat, insaani zindagi kay teen (3) daur, e’aadah-e rooh, neend mein qabz nafss, istadlaal mu’tazilah, jawaab Ahl-e-Sunnat, waghairah.

Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Dom) (silsilah number 24) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:

aalam barzakh, maut aur qabar ki hayaat (hissa dom), momin ki maut, momin ki maut ka manzar, Malik Al-Maut (as) ki haazri, rooh ka nikalna aur waapis aana, munkir nakeer kay sawaalat aur momin kay jawaabat, momin ki qabar, kaafir ki maut ka manzar, momin kay a’maal, kaafir ki qabar, munkir nakeer kay sawaalat aur kaafir kay jawaabat, kaafir kay a’maal, azaab o sawaab-e qabar, aalam barzakh (qabar) ahaadees ki roshni mein, qabar ki waardaat, mas’alah munkir nakeer, qabar mein sawaal o jawaab, qabar mein sawaal keh to kiss ki ibaadat kartaa tha?, qabar mein sawaal kay jawaab mein kalmah tauheed o Risaalat, qabar mein murdah jaaney waalon kay jooton ki aawaaz sunta hay, murdah loot kar jaaney waalon kay jooton ki aawaaz sunta hay, qabar mein teesraa sawaal, qabar mein doosraa sawaal, kaafir aur munaafiq ka qabar mein haal, momin ko qabar mein bashaarat, barzakh mein shuhadaa’ ki roohain jannat mein, aakhirat mein ajsaam kay zindah honay ki soorat, waghairah.

Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Som) (silsilah number 25) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:

teen (3) jahaan, aalam barzakh, aalam barzakh, maut aur qabar ki hayaat (hissa som), aalam aakhirat, kissi bashar nay hamaishah nahi rehnaa , har jaan-daar ko maut ka mazaa chakhnaa hay, qiyaamat say pehlay aal-e fir’aon ka azaab, duneewi pakkarr kay mutasil azaab ukhrawi, duniya mein hamaishgi kissi ko nahi, har shakhs marney waala hay, maut kay ba’d ahwaal-e qiyaamat, maut ka waqt aagay peechhay nahi ho sakta, maut ka waqt muqarrar hay, maut say bhaagna nafa’ nahi day sakta, jaan kanni ka waqt, maut ka waqt Khuda kay siwa kissi ko ma’loom nahi, Malik al-maut, maut kay ba’d lautnaa nahi, maut ki bay hoshi, maut kay waqt Kaafiron ka emaan laana maqbool nahi, kaafir kehtay hain keh duniya ki zindagi kay ba’d koi zindagi nahi, maut kay ba’d, hashar maut kay ba’d zindah ho kar Khuda kay huzoor mein haazir honaa ho gaa, qiyaamat ka manzar, arwaah al-Mo’mineen maut kay ba’d, qiyaamat tak, Shaitaan ka muqaablah karnay kay ba’d insaan par noor ‘uloom ilaahi naazil hota hay, qiyaamat mein nafss insaani ka hashar ‘ilmi aur jism insaani ka hashar ‘amli soorat par ho gaa, malfoozaat imaam a’zam Abu Haneefah rahmatullah, du’aa’, waghairah.

‘Kitaab Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Awwal taa Som) Download Karein’ kay safha ko 1733 visitors nay 1977 martabah deikhaa