Kitaab Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Som) Download Karein

Kitaab Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Som) Download Karein

Al-hamdo-lillah Rabbil-‘aalameen! Allah ka laakh laakh shukar hay keh hamaari na’i kitaab Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Som) shaa’e’ ho chuki hay.

Inside title image for Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Som)

Mauzoo’aat: Deeniyaat, Islam

‘unwanaat: Aalam Barzakh, Haqeeqat, Maut, Nafss, Qabar ki Hayaat, Rooh

Title and Composing: Zafar Malik
Published by: Kashmeer Book Depot

Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Som) ab PDF format mein upload ho chuki hay.
Iss kitaab ko download kar kay khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib say bhi share kijiay.
Shukriyah.

Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Som) (silsilah number 25) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:

teen (3) jahaan, aalam barzakh, aalam barzakh, maut aur qabar ki hayaat (hissa som), aalam aakhirat, kissi bashar nay hamaishah nahi rehnaa , har jaan-daar ko maut ka mazaa chakhnaa hay, qiyaamat say pehlay aal-e fir’aon ka azaab, duneewi pakkarr kay mutasil azaab ukhrawi, duniya mein hamaishgi kissi ko nahi, har shakhs marney waala hay, maut kay ba’d ahwaal-e qiyaamat, maut ka waqt aagay peechhay nahi ho sakta, maut ka waqt muqarrar hay, maut say bhaagna nafa’ nahi day sakta, jaan kanni ka waqt, maut ka waqt Khuda kay siwa kissi ko ma’loom nahi, Malik al-maut, maut kay ba’d lautnaa nahi, maut ki bay hoshi, maut kay waqt Kaafiron ka emaan laana maqbool nahi, kaafir kehtay hain keh duniya ki zindagi kay ba’d koi zindagi nahi, maut kay ba’d, hashar maut kay ba’d zindah ho kar Khuda kay huzoor mein haazir honaa ho gaa, qiyaamat ka manzar, arwaah al-Mo’mineen maut kay ba’d, qiyaamat tak, Shaitaan ka muqaablah karnay kay ba’d insaan par noor ‘uloom ilaahi naazil hota hay, qiyaamat mein nafss insaani ka hashar ‘ilmi aur jism insaani ka hashar ‘amli soorat par ho gaa, malfoozaat imaam a’zam Abu Haneefah rahmatullah, du’aa’, waghairah.

‘Kitaab Aalam-e-Barzakh, Maut aur Qabar ki Hayaat (Hissah Som) Download Karein’ kay safha ko 1733 visitors nay 1978 martabah deikhaa