Al-hamdo-lillah Rabbil-‘aalameen! Allah ka laakh laakh shukar hay keh hamaari na’i kitaab Ta’leemaat-e-Islaam, Insaan ki Takhleeq shaa’e’ ho chuki hay.
‘unwanaat: Asal Maqsad Zindagi, Duniya Mein Aana, Insaan ki Takhleeq, Ta’leemaat-e-Islaam
Title and Composing: Zafar Malik
Published by: Kashmeer Book Depot
Ta’leemaat-e-Islaam, Insaan ki Takhleeq ab PDF format mein upload ho chuki hay.
Iss kitaab ko download kar kay khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib say bhi share kijiay.
Shukriyah.
Ta’leemaat-e-Islaam, Insaan ki Takhleeq (silsilah number 2) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:
rooh insaan ki fazeelat, iblees ka mardood honaa aur qiyaamat tak mohlat talab karnaa, rooh insaan ki haqeeqat o fazeelat, iblees ka takabbur, iblees aur insaan ka muqaablah, yeh Quraan aik naseehat hay, a’maal ka e’tbaar khaatma par hay, munaafiq ki chaar khaslatain, munaafiq ki teen (3) alaamatein, Allah nay ahl jannat aur ahl dozakh kay naamon ko likh diyaa hay, Allah, insaan ki ragg gardan say bhi qareeb hay, do farishtay har insaan kay saath bethay hotay hain, farishtay har insaan ka har lafz likh laitay hain, a’maal likhney waalay farishtay, insaan ki pedaeesh ka asal maqsad, insaan ki pedaeesh ka maqsad rizq rasaani nahi, insaan kay a’maal, rizq Allah khud hi sub ko pohnchanay waala hay, insaan ka ‘amal uss kay galay ka haar hay, insaan ko a’maal naamay dikhaa’ay jaa’ain gay, qiyaamat kay din insaan apna naamah a’maal khud parrh lay gaa, a’maal naamon ko dekh kar gunehgaar darr rahay hon gay, Allah tumhaara rabb hay, Allah nay tumhari soortein banaa’en, Allah nay tumhen rozi di, qiyaamat kay din ki paishi aur a’maal naamon ki taqseem, dahaney haath mein naamah a’maal waalay ka aasaan hisab ho gaa, bad-kaar logon ka naamah ‘amal sijjeen mein rahay gaa, jiss din tamaam insaan rabb al-aalameen kay saamnay kharray hon gay, naik logon ka naamah ‘amal illiyeen mein rahay gaa, Allah nay zameen ko tumhaaray li’ay qiyaam gaah banaaya, qiyaamat kay din logon ko a’maal dikhaa di’ay jaa’ain gay, a’maal naamon ki paishi kay ba’d faisla, naamah a’maal farishtay paish karein gay, a’maal naamon ki taqseem, Islaam kiya hay?, emaan o Islaam aur ehsaan kiya hay? aur qiyaamat kab aa’ay gi?, taqdeer kay munkiron say beyzaari, Sahaabah (rz) ko Jibra’eel (as) ki ziyaarat, emaan ki haqeeqat kiya hay?, ehsaan kiya hay?, sharaa’eh Islaam kiya hain?, ‘alaamaat-e qiyaamat kiya hain?, yeh Jibra’eel ‘alaih as-salaam thay, waghairah.