Al-hamdo-lillah Rabbil-‘aalameen! Allah ka laakh laakh shukar hay keh hamaari na’i kitaab Seerat Rahmatallil’aalameen Huzoor (s.a.w) (Hissah Chahaaram) shaa’e’ ho chuki hay.
Mauzoo’aat: Islam, Seerat-un-Nabii (s.a.w)
‘unwanaat: Huzoor (s.a.w), Rahmatallil’aalameen (s.a.w), Seerat
Title and Composing: Zafar Malik
Published by: Kashmeer Book Depot
Seerat Rahmatallil’aalameen Huzoor (s.a.w) (Hissah Chahaaram) ab PDF format mein upload ho chuki hay.
Iss kitaab ko download kar kay khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib say bhi share kijiay.
Shukriyah.
Seerat Rahmatallil’aalameen Huzoor (s.a.w) (Hissah Chahaaram) (silsilah number 9) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:
Seerat-un-Nabii s.a.w (hissa chahaaram), wafaat Shareef Aan-Hazrat s.a.w, Aan-Hazrat s.a.w ki Sahaabah (rz) ko wasiyyatain, ummat kay li’ay bashaarat, hazrat Aa’eshah (rz) ki fazeelat aakhri lamhaat, hazrat Abu Bakar (rz) ko namaaz parrhanay ka hukum, hazrat Abu Bakar (rz) nay logon ko namaazein parrhaein, Siddique Akbar (rz) ki imaamat mein satrah (17) namaazein, Abu Bakar (rz) ki imaamat mein huzoor s.a.w ki namaaz, imaam ummat kay peechhay Nabii (s.a.w) ki Iqtedaa’, hazrat Izraa’eel ‘alaih as-salaam ki aamad, hazrat jibraeel ‘alaih as-salaam say baatain, aakhri wasiyyatain, Rasoolullah s.a.w ko kaisay nehlaa’ain?, 557(AH) ka aik ‘azeem ash-shaan mu’jizah, rauzah muqadsah mein naqab lagaanay waalon ki ‘ibrat naak maut, shaikhain kay dushman bhi halaak kar di’ay ga’ay, Shaikhain (rz) jannat kay tukrray mein madfoon hain, waghairah.