Al-hamdo-lillah Rabbil-‘aalameen! Allah ka laakh laakh shukar hay keh hamaari na’i kitaab Fazaa’Il o Ehkaam Ramadhan Al-Mubarak (Kaamil) shaa’e’ ho chuki hay.
‘unwanaat: Kitaab-us-Saum, Roza kay Masaa’el
Title and Composing: Zafar Malik
Published by: Maktaba-e-Hanfiyah
Fazaa’Il o Ehkaam Ramadhan Al-Mubarak (Kaamil) ab PDF format mein upload ho chuki hay.
Iss kitaab ko download kar kay khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib say bhi share kijiay.
Shukriyah.
Fazaa’Il o Ahkaam-e-Ramadhan Al-Mubarak (Hissa Awwal) (silsilah number 80) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:
hissa awwal, kitaab-us-siyyaam, maah Ramadhan al-Mubarak kay fazaa’il, hazrat Imaam hussan Basri (rh) ka Irshaad, hazrat Imaam Ja’far Saadiq (rh) ka farmaan, mas’alah. kaifiyyat roza. roza kay ehkaam o hudood, ehkaam Al-Quraan, kheyraat ka sawaab, rozay aur inn kay fazaa’il, Ramadhan ki fazeelat, Quraan Majeed ki khasoosiyaat, roza rakhnay ka Hakam, Allah aasaani chahtaa hay. mareez ko re’aayat, musaafir ko re’aayat, du’aa’, mas’alah ajaaba-tad-du’aa-e (Du’aa ka qabool honaa), Du’aa ki do shartain, rozon ki raaton mein izdiwaaji ta’alluqaat, roza kay auqaat iftaar o sehar, subuh saadiq tak sehri ka waqt rehtaa hay, e’takaaf kay ahkamaat, hudood Allah, aurat ghar mein e’takaaf karay, aurat kahaan e’takaaf karay, mard Masjid mein e’takaaf karay, e’takaaf kay masaa’el, e’takaaf ki teen (3) qismain, e’takaaf mein jo baatain jaa’ez hain, siffaat Momin, waghairah.
Fazaa’Il o Ehkaam Ramadhan Al-Mubarak (Hissa Dom) (silsilah number 81) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:
hissa dom, kitaab-us-siyyaam, Ramadhan al-Mubarak kay khasoosi fazaa’il, roza kay asraar ka bayaan, laila-tul-qadr ki fazeelat, fazeelat surat qadar, shab qadar ki fazeelat, laila-tul-qadr aur lailah mubaarikah, fazaa’il laila-tul-qadr, laila-tul-qadr ki ta’yeen, laila-tul-qadr makhfi kiyoon hay?, laila-tul-qadr kay auqaat ki ehmiyyat, aik hazaar (1000) maah ko raat mein taqseem karein, hazaar (1000) maheenon ki khusoosiyyat, ‘alaamaat shab qadar, shab qadar ki Du’aa, roza kay asraar aur baatni sharaa’et, fuqahaa ki re’aayat, ‘ulama’ay aakhirat ki gharaz sehat say qabool honaa hay, roza kay ma’naa, roza ki asal, waghairah.
Fazaa’Il o Ehkaam Ramadhan Al-Mubarak (Hissa Som) (silsilah number 82) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:
hissa som, kitaab-us-siyyaam, fazaa’il o ehkaam Ramadhan al-Mubarak, ehkaam Ramadhan al-Mubarak, kaffaarah, Taraaweeh, Taraaweeh ‘ehad Nabwi (s.a.w) mein, Taraaweeh daur Khilaafat Raashidah mein, e’takaaf ki fazeelat o ehmiyyat, roza iftaar karaana, roza Daar ko khaana khilaana, ghuroob kay ba’d iftaar mein jaldi karnaa, baghair uzur kay Ramadhan ka roza na rakhnaa, jin cheezon say roza toot jaata hay, jin cheezon say roza nahi toot-ta, Namaaz Eid, sadaqat al-Fitr, fitraana ki miqdaar, takbeeraat Eid, waghairah.