Al-hamdo-lillah Rabbil-‘aalameen! Allah ka laakh laakh shukar hay keh hamaari na’i kitaab Fazaa’Il o Ehkaam Ramadhan Al-Mubarak (Hissa Dom) shaa’e’ ho chuki hay.
‘unwanaat: Kitaab-us-Saum, Roza kay Masaa’el
Title and Composing: Zafar Malik
Published by: Maktaba-e-Hanfiyah
Fazaa’Il o Ehkaam Ramadhan Al-Mubarak (Hissa Dom) ab PDF format mein upload ho chuki hay.
Iss kitaab ko download kar kay khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib say bhi share kijiay.
Shukriyah.
Fazaa’Il o Ehkaam Ramadhan Al-Mubarak (Hissa Dom) (silsilah number 81) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:
hissa dom, kitaab-us-siyyaam, Ramadhan al-Mubarak kay khasoosi fazaa’il, roza kay asraar ka bayaan, laila-tul-qadr ki fazeelat, fazeelat surat qadar, shab qadar ki fazeelat, laila-tul-qadr aur lailah mubaarikah, fazaa’il laila-tul-qadr, laila-tul-qadr ki ta’yeen, laila-tul-qadr makhfi kiyoon hay?, laila-tul-qadr kay auqaat ki ehmiyyat, aik hazaar (1000) maah ko raat mein taqseem karein, hazaar (1000) maheenon ki khusoosiyyat, ‘alaamaat shab qadar, shab qadar ki Du’aa, roza kay asraar aur baatni sharaa’et, fuqahaa ki re’aayat, ‘ulama’ay aakhirat ki gharaz sehat say qabool honaa hay, roza kay ma’naa, roza ki asal, waghairah.