Al-hamdo-lillah Rabbil-‘aalameen! Allah ka laakh laakh shukar hay keh hamaari na’i kitaab Ta’leemaat-e-Islaam (Hissah Som) shaa’e’ ho chuki hay.
‘unwanaat: Ta’leemaat-e-Islaam
Title and Composing: Zafar Malik
Published by: Kashmeer Book Depot
Ta’leemaat-e-Islaam (Hissah Som) ab PDF format mein upload ho chuki hay.
Iss kitaab ko download kar kay khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib say bhi share kijiay.
Shukriyah.
Ta’leemaat-e-Islaam (Hissah Som) (silsilah number 5) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:
jannat mein jannatiyon kay qad saathh haath, Ta’leemaat-e-Islam (hissa som), jo garaibaan phaarray woh ham mein say nahi, janazay mein shirkat aur dafan tak thehrnay ka sawaab, maut ussi jagah aati hay jahaan likkhi hu’i hay, janaazah aur dafan mein shirkat ka sawaab do barray paharron kay baraabar, teen (3) aadmiyon kay muta’allaq sawaal matt karo, Allah kay siwa koi ma’bood nahi, Ta’leemaat-e-Islam aayaat-e Quaaniyah tauheed, rabb tumhaara Allah hay, siwaa’ay aik ma’bood kay aur koi ma’bood nahi, ma’bood haqeeqi saraf aik Allah hi hay, Allah tumhaaray saath hay jahaan bhi tum ho, Allah dekh rehaa hay jo tum kar rahay ho, Allah seenon ki baat ko jaantaa hay, Allah nay insaan ko paida kiya hay, Allah insaan ki ragg gardan say bhi qareeb hay, Allah tumhari soortein banaata hay, Allah nay insaan ko aik jaan say banaaya, Allah nay insaan ko geeli matti say paida kiya, hukoomat Allah kay siwa kissi ki nahi, hukoomat baari Ta’aala, Khuda hi ki khalq aur ussi ka hukum, Allah ko har shay ka ilm hay, Allah har cheez ka khaaliq hay, Allah har makhlooq ko jaantaa hay, jo cheez kinn kehnay say paida ho jaati hay, Allah jaantaa hay aur tum nahi jaantay, Allah sun-nanay waala jaan-nanay waala hay, aasmaan o zameen ki takhleeq say pachaas (50) hazaar (1000) saal pehlay, saat (7) aasmaanon ki tarah saat (7) zameenain, emaan laanay ka hukum, pairwi Rasool ka hukum, Risaalat, Muhammad Allah kay Rasool hain, Allah say muhabbat karnay waalon ko ittebaa’ Rasool ka hukum, Rasool aur momineen ka mukhaalif dozakh mein, Rasool ki itaa’at ba’ainehi Allah ki itaa’at hay, Allah aur uss kay Rasool ki itaa’at karo, Allah aur Rasool kay taabe’daaron ko jannat, Allah aur Rasool kay naa-farmaanon ko azaab dozakh ho gaa, Rasoolullah s.a.w par emaan laanay ka hukum, momin saaleheen mein shaamil hon gay, sachay momin kaun hain?, momin siddiqeen aur shuhadaa’ mein shaamil hon gay, muhaajireen aur ansaar Sahaabah (rz) sub kay sub sachay momin hain, momin sub aik hain, muhaajireen ka awwal darjah, amar bil-ma’roof karnay waali jamaa’at honi chaahiay, momino! Islam mein pooray kay pooray daakhil ho jaa’o, tum log behtareen jamaa’at ho, mominon ki shaan keh amar bil-ma’roof kartay hain, Allah say khaalis taubah karo, bachaa’o apni jaanon aur ghar waalon ki jaanon ko aag say keh eendhan uss ka insaan aur pathar hain, hukum Khuda kay khilaaf faisla karnay waalay zaalim hain, hukum Khuda kay khilaaf faisla karnay waalay kaafir hain, hukum Khuda kay khilaaf faisla karnay waalay faasiq hain, hukum Khuda kay mutaabiq faisla maan-nay waalay hi nijaat paayen gay, faisla insaaf say karo aur hukum Khuda kay mutaabiq ho, mushrik aur mushrikah say nikaah ki mumaane’at, iblees ka inkaar sajdah aur mohlat talab karnaa, iblees ko mohlat milna aur uss ka jahannumi honaa, Shaitaan kay insaan ko behkaanay kay tareeqay, Shaitaan, insaan ka khulla dushman hay, Allah ki ibaadat karnay waalon par Shaitaan qaaboo nahi paa sakta, gharon mein tasaaweer aur kuttaa na rakkhein, daarrhi rakhnay ka hukum, waghairah.