Al-hamdo-lillah Rabbil-‘aalameen! Allah ka laakh laakh shukar hay keh hamaari na’i kitaab Qurbaani kay Faza’il-o-Ahkaam shaa’e’ ho chuki hay.
Mauzoo’aat: Deeniyaat, Islam, Masa’il-o-Ahkaam
‘unwanaat: Quran-o-Hadees ki Roshni mein
Title and Composing: Zafar Malik
Published by: Marhabaa Academy
Qurbaani kay Faza’il-o-Ahkaam ab PDF format mein upload ho chuki hay.
Iss kitaab ko download kar kay khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib say bhi share kijiay.
Shukriyah.
Qurbaani kay Faza’il-o-Ahkaam (silsilah number 89) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:
qurbani kay fazaa’il o ehkaam, qurbani aur Quraan, qurbani aur Hadees, (9) qurbani kay har ball kay badlah sawaab, hazrat Ali (rz) ko qurbani ki wasiyyat, qurbani kay teen (3) din hain, gaa’ay aur oont mein saat (7) aadmi ki qurbani, (11) qurbani kay liay Sahaabah Karaam (rz) mein raiwarr ki taqseem, sharaa’et wujoob qurbani, qurbani kay jaanwar, jin ki shirkat say kissi ki qurbani nahi ho gi, jaanwar ki Umar, qurbani kay auqaat, gosht aur khaal ka Hakam, takbeeraat tashreeq, Eid ki Sunnatain, Namaaz Eid ki niyyat, Namaaz Eid ka tareeqah, Khutbah, qurbani kay jaanwaron kay naqaa’is o ‘uyoob aur inn kay shar’i ehkaam, beemaari waghairah ki soorat mein shar’i Hakam, qurbani kay din tak mustahab ‘amal, qurbani ki istata’at na ho to mustahab ‘amal, waghairah.