Kitaab Majmoo’ah Masnoon Wazaa’if Download Karein

Kitaab Majmoo’ah Masnoon Wazaa’if Download Karein

Al-hamdo-lillah Rabbil-‘aalameen! Allah ka laakh laakh shukar hay keh hamaari na’i kitaab Majmoo’ah Masnoon Wazaa’if shaa’e’ ho chuki hay.

Cover front image for Majmoo'ah Masnoon Wazaa'if
Inside title image for Majmoo'ah Masnoon Wazaa'if
Cover back image for Majmoo'ah Masnoon Wazaa'if

Mauzoo’aat: Deeniyaat, Islam

‘unwanaat: Majmoo’ah, Masnoon, Wazaa’if

Title and Composing: Zafar Malik
Published by: Marhabaa Academy

Majmoo’ah Masnoon Wazaa’if ab PDF format mein upload ho chuki hay.
Iss kitaab ko download kar kay khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib say bhi share kijiay.
Shukriyah.

Majmoo’ah Masnoon Wazaa’if (silsilah number 48) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:

(1) – darood Shareef, (2) – kalimaat Jawairiyah (rz), (3) – subuh o shaam das (10) baar parrhen, (4) – har roz subuh kay waqt parrhay, (5) – har roz saat (7) baar parrhay, (6) – aik dafa parrhnay ka bay hadd o shumaar sawaab, (7) – das (10) hazaar (1000) martabah say ziyaadah parrhnay ka sawaab, (8) – saat (7) hazaar (1000) martabah say ziyaadah ka sawaab, (10) – ism A’zam ki Taaseer, (11) – chaar beemaariyon ka ‘elaaj, chaar kalimaat ka wazeefah, (12) – Jaame’ du’aa’, (13) – du’aa’-e taubah, (14) – hazrat Umar (rz) Farooq ki du’aa’, (15) – fazeelat o barkat, (16) – fazeelat do kalimaat, (17) – bees laakh naikiyan, (18) – das (10) laakh naikiyan, (19) – aik baar parrhnay say das (10) laakh naikiyan, (20) – sattar (70) (70) balaa’on say hifaazat, (21) – fazeelat Soorat ikhlaas, (22) – Jaame’ du’aa’, Jumm’a kay roz kasrat-e darood Shareef, fazaa’il darood Shareef, kaamon mein aasaani, kaamyaabi aur qalbi sukoon kay liay, maujoodah halaat kay liay masnoon du’a’ain, nazar-e bad, sehar aur aasaib waghairah say hifaazat ka aik mujarrab ‘amal, kaamon mein aasaani aur barkat ka mujarrab ‘amal, ta’leemi taraqqi, aasaani aur imtihaan mein kaamyaabi kay liay du’aa, dil kay mareezon kay liay mujarrab ‘amal, dard-e Sir kay liay mujarrab ‘amal, takleef ki jagah par haath rakh kar, wazeefah baraa’ay rishtah, operation, wilaadat yaa har mushkil kay waqt, diabetes (sugar) ka bahut mujarrab ‘elaaj, beewi bachchon aur shoher ki deeni o duniyaawi sehat, kaamyaabi aur pur-musarrat o khush-gawaar zindagi kay liay du’aa, shajrah Chishtiyah Sabiriyah Imdaadiyah Rasheediyah Madaniyah Mazhariyah – mukhtasrah manzoomah, waghairah.

‘Kitaab Majmoo’ah Masnoon Wazaa’if Download Karein’ kay safha ko 1709 visitors nay 1950 martabah deikhaa