Kitaab Ittibaa’-e-Sunnat Download Karein

Kitaab Ittibaa’-e-Sunnat Download Karein

Al-hamdo-lillah Rabbil-‘aalameen! Allah ka laakh laakh shukar hay keh hamaari na’i kitaab Ittibaa’-e-Sunnat shaa’e’ ho chuki hay.

Cover front image for Ittibaa'-e-Sunnat
Inside title image for Ittibaa'-e-Sunnat
Cover back image for Ittibaa'-e-Sunnat

Mauzoo’aat: Deeniyaat, Islam

‘unwanaat: Gaana Bajaana, Haraam, Islaam, Na’at Khaani, Qawwaali, Raag, Saarangi, Shar’i Haisiyyat, Tablah

Title and Composing: Zafar Malik
Published by: Marhabaa Academy

Ittibaa’-e-Sunnat ab PDF format mein upload ho chuki hay.
Iss kitaab ko download kar kay khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib say bhi share kijiay.
Shukriyah.

Ittibaa’-e-Sunnat (silsilah number 52) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:

gaana bajaanay aur murawwajah qawwaali ki shar’i haisiyyat, ehl al-sunnat o Al-Jama’at ka aqeedah, seedhay raasta waalay aur falaah panay waalay log, gaana bajaana haraam hay, Ahaadees jin mein mumaane’at hay, Tabi’een aur Taba’ Tabi’een kay aqwaal, Imaam Abu Haneefah (rh) ka qaul, Imaam Maalik (rh) ka qaul, Imaam Shaafe’i (rh) ka qaul, Mujtahedeen kay aqwaal, jin ash’aar kay parrhnay ki ijaazat hay, jin ash’aar ka sun-nanaa mubaah hay, ajnabi nau-jawaan aurton ki aawaazon ki taraf kaan na lagaa’o, jin ash’aar ka parrhna haraam hay, geeton jaisay lehjon mein Quraan parrhna makrooh hay, murawwajah qawwaali haraam hay, auliyaa’ Allah kay irshaadaat, taaliyaan, mazaameer, tablah, saarangi, gaana sun-nanay waalay kay kaanon mein seesa pighlaa kar daala jaa’ay gaa, taaliyaan bajaana aur seetiyaan bajaana kuffaar ki salaat thi, khilaaf Sharee’at ‘amal karnay waala Shaitaan hay, taaliyaan aur seetiyaan bajaana, hazrat Sultaan Baahu (rh) ka Irshaad, khilaaf shara’ Majlis mein na betho. gaana haraam hay, al-lahw al-mahzoor. mamnoo’ mashghalah, al-taghni al-mahzoor. mamnoo’ gaana, al-lahw o al-la’ab. buray khail tamashay aur sharaab noshi, an-nurud. chausar kheilnaa, al-shatranj. khail ko band karaana, la’ab al-hamaam. kabootar say khail, al-ghinaa’. gaana gaanay say mana’ farmaana, tablah saarangi kay auzaar torrnay ka hukum, gaana gaanay aur sharaab peenay par sazaa, gaana gaanay kay bajaa’ay Quraan parrhen, dafli bajaanay aur baansuri bajaanay say mana’ karnaa, Qiyaamat kay roz gaana sun-nanay waalon kay kaanon mein seesa daal diyaa jaa’ay gaa, gaana bajaanay aur sun-nanay par sakht wa’eedain, tamaaseel. tasaaweer jiss ghar mein hon, farishtay daakhil nahi hotay, moortiyan aur tasaaweer gharon mein na latkaa’ain, rahmat kay farishtay kinn gharon mein daakhil nahi hotay, farishtay kiss ghar mein daakhil nahi hotay, jiss ghar mein jaras ho, farishtay daakhil nahi hotay, tasaaweer ghar say utaarnay ka hukum, Sood khaanay aur tasweer utaarnay par la’anat, jiss nay tasweer banaa’i, aakhirat mein .azaab ho gaa, saazon say gaana hay .azaab ko bulaana, paish lafz, Momin ko Huzoor (s.a.w) sub say ziyaadah Mahboob hon, naach ka dekhna aur mazaameer ka sun-nanaa, baansuri ki aawaaz bhi sun-nanaa jaa’ez nahi, kuffaar ki Namaaz seetiyaan aur taaliyaan bajaana, baajon, mazaameer aur buton kay torrnay ka hukum, Huzoor (s.a.w) nay sharaab peenay aur juye aur tablah bajaanay say roka hay, Allah nay sharaab, juaa aur tablah haraam kiya hay, shatranj khailnay waala kaisa hay?, shatranj khailnay waala Allah o Rasool (s.a.w) ka naa-farmaan hay, khail aur raag dal mein nifaaq paida kartaa hay Quraan aur zikar dal mein Emaan paida kartaa hay, sharaab peenay waalay aur butt (god) ko poojnay waalay ki sazaa, Emaan aur nifaaq ki do, do shaakhain, Deen-e Haqq ko mitaanay ki koshish, Muslim hukamraanon say ghair qaumon nay kab hakoomatein chheeni, Naadir Shah Qandhaar say Faateh bin fikar kaisay chalaa, Muhammad Shah kay darbaar ki haalat, jab Angreizon nay Lucknow par qabzah kiya, Pakistan kay halaat aur daur-e mahaashi, gaanay ki shakal mein ash’aar na parrhen, gaana zinaa’ ka mantar hay, burray ash’aar parrhnay waala Shaitaan, gaanay, baajay aur sharaabein qurb Qiyaamat ki ‘alaamaat, Masjidon mein aawaazein buland hon gi, azaan kay saath murawwajah salaat o salaam kab shuroo’ hua, Sunnat ko ikhtiyaar karnaa, bid’at hasanah say behtar hay, loud speaker par salaat o salaam mutafiqqah taur par naa-jaa’ez hay, qaum mein sardaar woh shakhs ho gaa jo inn say faasiq ho gaa, qaum mein Ra’ees aur qaum kay umoor ka mutakaffil, raag, sarood haraam hay, jiss da’wat mein raag aur khail ho, na jaa’ay, jo cheez haraam hay, uss ki qeemat bhi haraam hay, haraam ashiyaa’ ko farokht kar kay inn ki qeemat ko khaana bhi haraam aur naa-jaa’ez hay, jiss nay tasweer banaa’i, uss ko .azaab ho gaa, sharaab peenaa aur beichnaa Allah nay haraam kar diyaa hay, mazaameer sikhaana aur gaana haraam hay, dhol aur saarangi, tablah par qawwaali haraam hay, raag baajon waghairah kay saath qawwaali haraam hay, aisaa jism jiss ki ghiza haraam ho, Jannat mein daakhil nahi ho gaa, jo gosht haraam maal khaanay say paida hua, haraam ghiza pait say nikaal di, halaal ghiza kay ‘ilaawah kuchh khaa lay to kiya karay, sharaab bator dawaa bhi peenaa jaa’ez nahi, sharaab say bacho, jo na chhorrein inn say Larro, Sood khaanay waalon ki, haraam maal khaanay waalon ki aakhirat mein sazaa, Sood khaanay aur khilaanay par la’anat, raag, baaja Shaitaani aawaaz hay, Shaitaan nay nohah kiya aur raag gaaya, hazrat Junaid Baghdaadi ka Shaitaan say mukaalmah, Shaitaan dal mein waswasah daalta hay, Shaitaan ka daa’o saraf raag kay waqt chalta hay, Imaam Abu Haneefah (rh) kay nazdeek samaa’ ka kiya hukum hay, mushtaba cheez say bhi parhez kartay hain, mashaa’ekh Chishtiyah chhoti see Sunnat ko bhi nahi chhorrtay, apnay kaan ko raag baajay say bachaana, Khawaja Ganj Shakar (rh) raag say mana’ kartay hain, munaajaat, aayat ki tafseer. Hadees mein Huzoor (s.a.w) ka Irshaad, siraat mustaqeem par chalney ki Du’aa aur siraat mustaqeem ki nishaan-dahi, (2) Hadees mein paish-go’i. nijaat yaafta ki pehchan, ’’ehl al-sunnat o Al-Jama’at’’ Sahaabah (rz) kay raasta par chalney waalay hain, siraat mustaqeem par chalney waalay ehl Sunnat hain, Sunnat-e Rasool (s.a.w) o Sunnat-e Khulafaa’ al-Raashideen (rz), kitaabullaah aur Sunnat-e Rasoolullah (s.a.w) par chalney ka hukum, jiss nay meri Sunnat ko liya woh meri ummat say hay, Sunnat par qaa’em rehnay waalay ko shaheed darjah, jo Huzoor (s.a.w) hukum dein uss ko ikhtiyaar karo, jo Jamaa’at-e Sahaabah (rz) say katt giya, uss ka nateejah, Sahaabah (rz) ki shaan kay khilaaf baat na karo, Sunnat ko ikhtiyaar karnay par sawaab, Huzoor (s.a.w) ki ummat gumraahi par ikathi nahi ho gi, Sunnat par ‘amal Huzoor (s.a.w) ki muhabbat ki ‘alaamat, jiss nay Sunnat apnaa li, Jannat mein jaa’ay gaa, Sunnat ko mazbooti say pakkarrney ka ajar, fasaad kay waqt Sunnat ko mazboot pakkarrna, Quraan ki tafseer bayaan karnay mein ehtiyaat, raa’ay say tafseer karnay ki mumaane’at, Hadees bayaan karnay mein ehtiyaat, manaazirah ki aafatein aur muhlik haadsaat, doosray ki ibaarat naqal karnay mein ehtiyaat, manaazirah karnay waalay ki sub say burri baat, bahut barra bay insaaf kaun hay?, sachchi baat ko jhutlaanay waala zaalim hay, ‘aib tatolnaa aur gheebat karnaa, Ameer Haqq ki taraf rujoo’ karnaa waajib hota hay, ‘uloom-e dain ka Zaahir karnaa jab waajib hota hay?, mas’alah jaantaa ho to bayaan karnaa laazim hay, ehl bid’at, Aaj kay Soofi insaaf karein, waghairah.

‘Kitaab Ittibaa’-e-Sunnat Download Karein’ kay safha ko 1605 visitors nay 1831 martabah deikhaa