Maudoodi Aqaa’id-o-Nazriyaat janaab Maulaana Haafiz Abdul Waheed Al-Hanfi sahib ki tarteeb o tadween aur Marhabaa Academy ki shaa’e’ kardah aik Islaami o islaahi kitaab hay, jiss ka silsilah number 59 hay. Iss kitaab mein Islam, Taareekh-e-Mazaahib, Taqaabul-e-Adiyan waghairah kay mauzoo’aat aur Abul-A’laa Maudoodi Sahib, Aqaa’id, Nazriyaat, Tehqeeq waghairah kay ‘unwanaat par mushtamil ba-hawaalah mazaameen shaamil kiye ga’ay hain.
‘Maudoodi Aqaa’id-o-Nazriyaat’ ki isha’at-e-Awwal morkhah 16 Saffar Al-Muzaffar 1436 (AH) mutaabiq 08-Dec-2014 ko Chakwal say hu’i.
Zafar Malik ki composing o designing, apni behtareen binding kay saath, 50 safhaat par mabni kitaab ‘Maudoodi Aqaa’id-o-Nazriyaat’ kay khoobsurat title ki chand tasaaweer darj zail hain:
‘Maudoodi Aqaa’id-o-Nazriyaat’ ko apnay qareebi kutub farosh say khareed farmaa kar yaa PDF format mein download kar kay yaa online khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib aur doston ko bhi iss kitaab kay parrhnay ki targheeb dijiay. Shukriyah