Al-hamdo-lillah Rabbil-‘aalameen! Allah ka laakh laakh shukar hay keh hamaari na’i kitaab Ahwaal-e-Qiyaamat shaa’e’ ho chuki hay.
‘unwanaat: Ehwaal Qiyaamat, Hashar, Jannat ka Manzar, Jazaa-o-Sazaa, Maut kay Ba’d
Title and Composing: Zafar Malik
Published by: Marhabaa Academy
Ahwaal-e-Qiyaamat ab PDF format mein upload ho chuki hay.
Iss kitaab ko download kar kay khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib say bhi share kijiay.
Shukriyah.
Ahwaal-e-Qiyaamat (silsilah number 54) mein zair-e-behs ‘unwanaat yeh hain:
maut kay ba’d … Hashar say gharaz … jazaa o sazaa (hissa awwal), Qiyaamat Haqq hay, Qiyaamat ka wa’dah sacha hay, ‘alaamaat-e Qiyaamat, Qiyaamat burray logon par qaa’em ho gi, Qiyaamat say pehlay Dajjaal ka nikalna, hisab qisaas aur meezaan-e ‘amal, Hashar say gharaz … jazaa o sazaa, Qiyaamat kay din yeh zameen badal di jaa’ay gi, Qiyaamat kay din har shakhs ko uss kay kiye ka badlah diyaa jaa’ay gaa, Qiyaamat kay din kaafir jaan lain gay keh woh ghalati par thay, Qiyaamat aanay waali hay, har shakhs ko badlah milay gaa, Allah Kaafiron ko pasand nahi kartaa, rabb ki qisam! Qiyaamat zaroor paish aa kar rahay gi, har shakhs ko uss kay kiye ka badlah diyaa jaa’ay gaa, dalaa’el Hashar, jaisay Allah har qisam kay phal nikaaltay hain, murdah ko nikaalein gay, Allah nay jaisa pehli dafa paida kiya, dubaarah paida karein gay, Qiyaamat aanay waali hay. uss mein shak nahi, Allah zindah say murdah ko nikaalta hay, Insaan kaisay ji utthay gaa?, bay shak tumhaara ma’bood aik hi hay, Allah hi maut kay waqt qabz-e rooh kartaa hay, Insaan ki dubaarah pedaeesh, maidaan-e Hashar ki zameen, maidaan-e Hashar mein zameen ka khabrain deinaa, (3) Qiyaamat kay din jiss say aasaan hisab liya jaa’ay gaa, sub say pehlay Huzoor (s.a.w) qabar say utthein gay, Qiyaamat kay din sub Huzoor (s.a.w) kay jhanday kay neechay, qabar say Huzoor (s.a.w) kay Qiyaamat kay din Abu Bakar (rz) o Umar (rz) kay saath utthein gay, Qiyaamat mein Huzoor (s.a.w) kay ba’d Khulafaa’ay arba’ah qabar say utthein gay, Khulafaa’-e salaasah (rz) ki Khilaafat ki paish-go’i, ummat mein sub say afzal Khulafaa-e (rz) arba’ah hain, sub say pehlay hisab kay li’ay Huzoor (s.a.w) kay Khulafaa’-e Arba’ah (rz), pachaas (50) hazaar (1000) saal ka din mominon par halka kiya jaa’ay gaa, tahajjud parrhnay waalay baghair hisab Jannat mein daakhil hon gay, Qiyaamat kay roz Momin aik maqaam par kharray hon gay, Qiyaamat kay din Shafa’at-e Kubraa ki Du’aa, Shafa’at say momineen ka dozakh say nikalna, Shafa’at say aik jamaa’at dozakh say niklay gi, kaun kaun Shafa’at karein gay, jo Jannat mein sub say aakhir mein daakhil ho gaa, aakhri jannati ko duniya say das (10) gini barri Jannat, an’amta ‘alaihim ka misdaaq, woh kaun kaun hain?, in’aam panay waalon kay chaar darjay, e’laan takmeel Deen o Sahaabah (rz) par in’aam tamaam kar diyaa, Siddique aur shuhadaa’ ka darjah kinn kinn ko Mal sakta hay?, meri ummat kay momineen shuhadaa’ hain, Sahaabah Karaam (rz) sub kay sub darjah Siddique par Faa’ez thay, Jannat ka manzar, Jannat kay naam jo Quraan Majeed mein mazkoor hain:, (1) … Jannat, (2) … Jannaat ‘adn, (3) … Jannat an-Na’eem, (4) … Jannat al-Mawaa, (6) … firdous, (7) … Daar as-Salaam, (9) … Daar al-Haiwaan, (8) … Daar al-Maqaamah, (11) … maq’ad Sidq, (1) tumhaara rizq aasmaan mein hay, (10) … maqaam Ameen, (2) Jannat Sidrat al-Muntahaa kay paas hay, (3) Jannat ki chaurra’i aasmaanon aur zameen kay baraabar hay, (4) Jannat mein barri saltanat hay, (5) Jannat aaram ki jagah hay, (6) Jannat mein kissi qisam ki takleef nahi, (7) Jannat mein garmi sardi nahi, (8) Jannat mein laghv aur bay hoodah guftugoo nahi, (9) Jannat mein maut nahi, (10) Jannat mein makaanaat Tayyabah, (11) Jannat mein baala-khaanay, (12) Jannat mein takht, (13) Jannat mein farash, (14) Jannat mein qaleen aur gadday, (15) Jannat mein takiyay, (16) Jannat mein darwaazay, (17) Jannat mein nehrein, (18) Jannat mein paani kay ‘ilaawah doodh, mazay-daar sharaab aur saaf shehd ki nehrein, (19) Jannat mein chashmay, (20) Jannat kay paani mein kaafoor milaa ho gaa, (21) Jannat kay paani mein zanjabeel, (22) Jannat kay paani mein tasneem, (23) Jannat ki sharaab par mushk ki Mehar, (25) Jannat mein rizq Kareem, (26) Jannat mein akal o sharb, (27) Jannat mein bairiyaan, (28) Jannat mein kailay, (29) Jannat mein khujoorein aur anaar, (30) Jannat mein angoor, (31) Jannat mein har qisam ka mewah, (32) Jannat kay maiway jhukay hu’ay hain, (33) Jannat kay darakht gunjaan hain, (34) Jannat kay darakht gehray sabz hain, (35) Jannat mein saaya, (36) Jannat mein parindon ka gosht, (37) Jannat mein saaf sharaab ka daur, (38) Jannat ki sharaab say bay hoshi, behaknaa aur dard Sir nahi, (39) Jannat mein dabeez aur maheen raisham ka sabz libaas, (40)chaandi, sonay kay kangan aur motiyon kay haar, (41) Jannat mein chaandi sonay kay piyaalay aur rakaabiyan, (42) Jannat mein paak azwaaj, (43) Jannat mein ghulmaan, (44) Jannat mein barri barri aankhon waali, khoobsurat, nau-jawaan, hayaa Daar aurtein, (46) Jannat mein pasandeedah aish, (47) Jannat mein har khuwaish poori ho gi, (45) Jannat mein ne’mat, (48) Jannatiyon ko Khulood, (49) Jannatiyon ko ghair munqata’ bakhshish, (50) Jannatiyon ko aman o amaan aur salaamti, (51) Jannatiyon ko baaham aik doosray ka salaam, (52) Jannatiyon ko e’raaf waalon ka salaam, (53) Jannatiyon ko Farishton ka salaam, (54) Jannatiyon ko Khuda ka salaam, (55) Jannatiyon say Khuda ki razaa-mandi, (56) jannati aur dozakhi baraabar nahi, (57) Jannatiyon ki dozakhiyon say baat cheet, (58) Jannatiyon ki baahmi guftugoo, (59) Jannatiyon kay dillon mein keena na ho gaa, (60) Jannat a’maal kay ‘iwaz milay gi, (61) baghair imtehaan mein poora utray Jannat ki tama’ nahi chaahiay, Jannat mein kaun daakhil hon gay?, (1) momineen jo Emaan laa’ay aur naik ‘amal ki’ay, Momin jo naik ‘amal karein gay, hamaishah Jannat mein rahain gay, Namaaz parrhnay waalay aur zakaat dainay waalay ko na khauf ho gaa na gham, mominon kay liay Jannat mein paak beebiyaan hon gi, mominon say Allah ka wa’dah Jannat, jiss mein hamaishah rahain gay, sachay mominon ki ‘alaamaat aur Jannat mein darjay, Emaan waalay mardon aur aurton say Allah ka wa’dah, wohi log naseehat pakkarrtay hain jo samajh Daar hain, mominon kay liay Jannat mein achha thikana hay, naik ‘amal aur Emaan waalay kay liay sila, Momin kay liay Jannat mein kangan aur raishami kaprray, mominon ki Jannat mein ziyaafat aur firdous kay baagh hon gay, jiss nay taubah ki aur Emaan laaya bahisht mein daakhil ho gaa, jo shakhs paak rahay uss ka sila Jannat hay, Momin Jannat mein daakhil hon gay, ehl Jannat kay liay raishami libaas aur sonay kay kangan, mominon kay liay bakhshish aur izzat ki rozi, jo Momin falaah paayen gay, inn ki ‘alaamaat, jo log Emaan laa’ay Allah inn kay gunaah daur karein gay, Emaan aur ‘amal saaleh waalay saaleheen mein daakhil hon gay, Emaan laanay aur naik ‘amal karnay waalay kay liay Jannat, mominon say Jannat ka wa’dah aur mazay kay baagh, mominon ko ‘amal ka badlah Jannat mein milay gaa, Emaan laanay waalon kay liay maghfirat aur barra ajar, Jannat mein kaun jaa’ain gay?, ehl Jannat ko kiya kiya milay gaa, ehl Jannat ko jo dar-kaar ho gaa, milay gaa, ehl Jannat ko na khauf ho gaa na ho ghamgeen hon gay, jo log Emaan laa’ay, Allah inn ko Jannat mein daakhil karay gaa, Emaan waalon ka Noor inn kay aagay aagay chal rehaa ho gaa, Momin Allah o Rasool kay mukhaalifon say dushmani rakhtay hain, yaum-e Hashar. haar, jeet ka din, Emaan waalon ko Allah Jannat mein daakhil karay gaa, jo log Emaan laa kar naik ‘amal karein behtar khalaa’iq hain, waghairah.