Ta’leem-us-Saalik janaab Maulaana Haafiz Abdul Waheed Al-Hanfi sahib ki tarteeb o tadween aur Kashmeer Book Depot ki shaa’e’ kardah aik Islaami o islaahi kitaab hay, jiss ka silsilah number 21-22 hay. Iss kitaab mein Islam, Ta’leem-us-Saalik waghairah kay mauzoo’aat aur Arba’een (40) Nabawi (s.a.w), Chehl Hadees, Salaasil Tayyabah waghairah kay ‘unwanaat par mushtamil ba-hawaalah mazaameen shaamil kiye ga’ay hain.
‘Ta’leem-us-Saalik’ ki isha’at-e-Awwal morkhah 19 Ramazaan Al-Mubaarak 1431 (AH) mutaabiq 30-Aug-2010 ko Chakwal say hu’i.
Zafar Malik ki composing o designing, apni behtareen binding kay saath, 96 safhaat par mabni kitaab ‘Ta’leem-us-Saalik’ kay khoobsurat title ki chand tasaaweer darj zail hain:
‘Ta’leem-us-Saalik’ ko apnay qareebi kutub farosh say khareed farmaa kar yaa PDF format mein download kar kay yaa online khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib aur doston ko bhi iss kitaab kay parrhnay ki targheeb dijiay. Shukriyah