Sharee’at-o-Tareeqat Ki Ahmiyyat janaab Maulaana Haafiz Abdul Waheed Al-Hanfi sahib ki tarteeb o tadween aur Maktaba-e-Hanfiyah ki shaa’e’ kardah aik Islaami o islaahi kitaab hay, jiss ka silsilah number 71 hay. Iss kitaab mein Deeniyaat, Islam, Ta’leem-us-Saalik waghairah kay mauzoo’aat aur Baqaa’ay Sharee’at ka Raaz, Nafss ki Islaah waghairah kay ‘unwanaat par mushtamil ba-hawaalah mazaameen shaamil kiye ga’ay hain.
‘Sharee’at-o-Tareeqat Ki Ahmiyyat’ ki isha’at-e-Awwal morkhah 9 Zi Qa’dah 1441 (AH) mutaabiq 01-Jul-2020 ko Chakwal say hu’i.
Zafar Malik ki composing o designing, 32 safhaat par mabni kitaab ‘Sharee’at-o-Tareeqat Ki Ahmiyyat’ kay khoobsurat title ki chand tasaaweer darj zail hain:
‘Sharee’at-o-Tareeqat Ki Ahmiyyat’ ko apnay qareebi kutub farosh say khareed farmaa kar yaa PDF format mein download kar kay yaa online khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib aur doston ko bhi iss kitaab kay parrhnay ki targheeb dijiay. Shukriyah