Mu’jizah Me’raaj-un-Nabii (s.a.w) janaab Maulaana Haafiz Abdul Waheed Al-Hanfi sahib ki tarteeb o tadween aur Marhabaa Academy ki shaa’e’ kardah aik Islaami o islaahi kitaab hay, jiss ka silsilah number 56 hay. Iss kitaab mein Islam, Seerat-un-Nabii (s.a.w) waghairah kay mauzoo’aat aur Me’raaj-un-Nabii (s.a.w), Mu’jizah waghairah kay ‘unwanaat par mushtamil ba-hawaalah mazaameen shaamil kiye ga’ay hain.
‘Mu’jizah Me’raaj-un-Nabii (s.a.w)’ ki isha’at-e-Awwal morkhah 16 Saffar Al-Muzaffar 1436 (AH) mutaabiq 08-Dec-2014 ko Chakwal say hu’i.
Zafar Malik ki composing o designing, apni behtareen binding kay saath, 30 safhaat par mabni kitaab ‘Mu’jizah Me’raaj-un-Nabii (s.a.w)’ kay khoobsurat title ki chand tasaaweer darj zail hain:
‘Mu’jizah Me’raaj-un-Nabii (s.a.w)’ ko apnay qareebi kutub farosh say khareed farmaa kar yaa PDF format mein download kar kay yaa online khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib aur doston ko bhi iss kitaab kay parrhnay ki targheeb dijiay. Shukriyah