Duniyaa Mein Islaam kaisay Phaila? janaab Maulaana Haafiz Abdul Waheed Al-Hanfi sahib ki tarteeb o tadween aur Kashmeer Book Depot ki shaa’e’ kardah aik Islaami o islaahi kitaab hay, jiss ka silsilah number 27 hay. Iss kitaab mein Islam, Taareekh-e-Islaam waghairah kay mauzoo’aat aur Duniya Mein Islaam Kaisay Phaila?, Pehlay Pehlay Islaam Laanay Waalay waghairah kay ‘unwanaat par mushtamil ba-hawaalah mazaameen shaamil kiye ga’ay hain.
‘Duniyaa Mein Islaam kaisay Phaila?’ ki isha’at-e-Awwal morkhah 1st Jamaadi Al-Awwal 1432 (AH) mutaabiq 04-Apr-2011 ko Chakwal say hu’i.
Zafar Malik ki composing o designing, apni behtareen binding kay saath, 32 safhaat par mabni kitaab ‘Duniyaa Mein Islaam kaisay Phaila?’ kay khoobsurat title ki chand tasaaweer darj zail hain:
‘Duniyaa Mein Islaam kaisay Phaila?’ ko apnay qareebi kutub farosh say khareed farmaa kar yaa PDF format mein download kar kay yaa online khud bhi parrhiay aur apnay ‘azeez o aqaarib aur doston ko bhi iss kitaab kay parrhnay ki targheeb dijiay. Shukriyah